UP Family ID Registration 2026: Ek Parivar Ek Pehchan Online Applyउत्तर प्रदेश फैमिली आईडी (एक परिवार एक पहचान) ऑनलाइन रजिस्ट्रेशन प्रक्रियाSarkariRojgaar.com Special Guide
Uttar Pradesh sarkar ne rajya ke sabhi parivaron ke liye ek mahatvapurn yojana shuru ki hai, jise UP Family ID (Ek Parivar Ek Pehchan) kaha jata hai. Is yojana ka mukhya uddeshya rajya ke har parivar ka ek base taiyar karna hai taaki unhe sarkari yojanaon ka labh seedhe aur parardarshi tarike se mil sake.
Yadi User ke paas Ration Card hai, to wahi Family ID mani jayegi, lekin jin parivaron ke paas ration card nahi hai, unhe portal par jakar registration karna anivarya hai. Is 12-digit ki unique ID ke madhyam se UP sarkar scholarship, pension, aur kisan sahayata jaisi 50+ yojanaon ko parivar ke data se link karegi.

- Direct Benefit Transfer (DBT): Sarkari yojanaon ka paisa seedhe parivar ke mukhiya ke bank khate mein ayega.
- Easy Documentation: Baar-baar caste ya residence certificate dene ki zaroorat nahi padegi kyunki data Family ID se link rahega.
- Employment Tracking: Sarkar ko pata chal sakega ki kis parivar mein ek bhi sadasya ke paas naukri nahi hai, taaki unhe rojgaar mein variyata di ja sake.
- Pension & Scholarship: Vridh-awastha pension aur chatravriti ka labh lena aasaan ho jayega.
- Single Database: Parivar ke sadasyon ka ghatna ya badhna (Marriage/Birth) online update kiya ja sakega.
Who can Apply: Uttar Pradesh ke sabhi sthayi nivasi (Resident).
Government Fee: 0/- (Free / Nishulka)
Government Fee: 0/- (Free / Nishulka)
- Aadhaar Card (Mobile Number Link hona chahiye)
- Ration Card (Yadi ho to)
- Parivar ke sabhi sadasyon ka Aadhaar Number
- Mobile Number (OTP verification ke liye)
- Passport size photo (Mukhiya ki)
- Official Website: Sabse pehle UP Family ID ki official portal familyid.up.gov.in par jayein.
- Registration: Homepage par ‘Registration’ tab par click karein aur Naam aur Mobile Number darj karein.
- OTP Verification: Mobile par ek OTP ayega, use enter karke login karein.
- Aadhaar Authenticate: Ab parivar ke mukhiya ka Aadhaar number dalein. Yaad rakhein ki Aadhaar se mobile number link hona zaroori hai.
- Member Details: Ek-ek karke parivar ke sabhi sadasyon (Souse, Children, Parents) ka naam aur Aadhaar details add karein.
- Final Submit: Sabhi jankari check karne ke baad ‘Final Submit’ par click karein. Ek Application Number mil jayega.
- Verification: Iske baad Block ya Tehsil star se verification hoga aur Family ID generate ho jayegi.
- Mobile Number Link: Registration shuru karne se pehle check kar lein ki parivar ke sadasyon ke Aadhaar mein unka current mobile number juda ho.
- Duplicate Entry: Ek sadasya ka naam do alag-alag Family ID mein nahi ho sakta, isse application reject ho sakti hai.
- Ration Card Holder: Yadi Ration Card pehle se bana hai, to naya registration karne ki zaroorat nahi hai, sirf ID print kar sakte hain.
| Link Name | Link Action |
| Online Registration | Click Here |
Q: Kya Family ID sabhi ke liye anivarya hai? A
A: Haan, UP mein sarkari yojanaon ka labh lene ke liye ise anivarya banaya ja raha hai.
A: Haan, UP mein sarkari yojanaon ka labh lene ke liye ise anivarya banaya ja raha hai.
Q: Kya Ration Card hi Family ID hai?
A: Haan, jin logo ke paas Ration Card hai, unka Ration Card number hi unki 12 digit ki Family ID hai.
A: Haan, jin logo ke paas Ration Card hai, unka Ration Card number hi unki 12 digit ki Family ID hai.
Q: Family ID banne mein kitna samay lagta hai?
A: Registration ke baad physical verification mein lagbhag 15 se 30 din ka samay lag sakta hai.
A: Registration ke baad physical verification mein lagbhag 15 se 30 din ka samay lag sakta hai.
Q: Kya iske liye koi fees deni hogi?
A: Nahi, ye portal par bilkul free hai. Lekin CSC center par jane par wo service charge le sakte hain.
A: Nahi, ye portal par bilkul free hai. Lekin CSC center par jane par wo service charge le sakte hain.